segunda-feira, 7 de junho de 2010

Taare Zameen Par (Kholo-Kholo)



Kholo Kholo
Taare Zameen Par
Composição: Prasoon Joshi

Kholo Kholo Darwaze
Parde Karo Kinare
Khuntey Se Bandhi Hai Hawa
Mil Ke Chhudao Saar


Aajao Patang Leke
Apney Hi Rang Leke
Aasmaan Ka Shamiyana
Aaj Hamein Hai Sajana

Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu
O, Duniya Sajee Tere Liye
Khud Ko Zara Pehchaan Tu


Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin


O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu


Baasi Zindagi Udaasi
Taazi Hasney Ko Raazi
Garma Garma Saari
Abhi Abhi Hai Utaari


O, Zindagi To Hain Batasha
Meethi Meethi Si Hai Aasha
Chakh Le Rakh Le
Hatheli Se Dhak Le Ise


Tujh Mein Agar Pyaas Hai
Baarish Ka Ghar Bhi Pass Hai
O, Roke Tujhe Koi Kyon Bhala
Sang Sang Tere Aakash Hai


Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin


Khul Gaya Aasmaan Ka Rasta Dekho Khul Gaya
Mil Gaya Kho Gaya Tha Jo Sitara Mil Gaya, Mil Gaya


O, Roshan Hui Saari Zameen
Jagmag Hua Saara Jahaan
Udne Ko Tu Azad Hai
Bandhan Koi Abh Hai Kahan


Tu Dhoop Hain Jham Se Bikhar
Tu Hai Nadee O Bekhabar
Beh Chal Kahin Ud Chal Kahin
Dil Khush Jahan Teri Toh Manzil Hai Wahin


O, Kyun Is Kadar Hairaan Tu
Mausam Ka Hai Mehmaan Tu


Nenhum comentário:

Postar um comentário